Saturday 8 November 2014

Yaar bhii raah kii deewaar samajte hain mujhe

Yaar bhii raah kii deewaar samajte hain mujhe

main samajta tha mere yaar samajte hain mujhe

main to yun chup hoon k andar se buhut khaalii hoon

aor sab log pur-israar samajte hain mujhe

main badalte hue haalaat mein dhal jaata hoon

dekhne wale adaakaar samajte hain mujhe

woh jo uss paar hain unn k liiye iss paar hoon mein

woh jo iss paar hain uss paar samajte hain mujhe

naik logoN mein mujhe naik gina jaata hai

aor gunahgaar, gunahgaar samajte hain mujhe

2 comments:

Md Enamul Hoq said...

This is an excellent post you have shared . Keep continue sharing . Cut Out Photo | Image Masking Service | Photo Cut Out

Clipping Solutions said...

Very nice poem you have written here. Appreciate it. Thanks
clipping path service/Raster To vector
clipping path service/Background Removal

Post a Comment